aa  gayā  dil  jo  kahīñ  aur  hī  sūrat  hogī
log  dekheñge  tamāshā  jo  mohabbat  hogī
dil-lagī  tark-e-mohabbat  nahīñ  taqsīr  muaaf
hote  hote  mire  qaabū  meñ  tabī.at  hogī
un  ke  aane  kī  ḳhabar  sun  ke  to  ye  haal  huā
jab  vo  ā.eñge  to  phir  kyā  mirī  hālat  hogī
TukḌe  kar  Daale  koī  us  ke  to  maiñ  bhī  ḳhush  huuñ
dil  na  hogā  na  mirī  jaan  mohabbat  hogī
vo  chhupāyā  kareñ  is  baat  se  kyā  hotā  hai
aap  sar  chaḌh  ke  pukāregī  jo  ulfat  hogī
ye  na  farmāo  shab-e-hijr  kaTegī  kyūñkar
tum  ko  kyā  kaam  jo  hogī  mirī  hālat  hogī
maar  Daalā  mujhe  be-maut  baḌā  kaam  kiyā
ḳhuub  tārīf  tirī  ai  shab-e-furqat  hogī
ai  dil-e-zār  maza  dekh  liyā  ulfat  kā
ham  na  kahte  the  ki  is  kaam  meñ  zillat  hogī
ye  bhī  kuchh  baat  hai  phir  vasl  na  ho  ai  'jauhar'
rañj  rāhat  se  huā  rañj  se  rāhat  hogī