haram  meñ  muddatoñ  DhūñDā  shivāloñ  meñ  phirā  barsoñ
talāsh-e-yār  meñ  bhaTkā  kiyā  maiñ  bār-hā  barsoñ
mahīnoñ  haath  joḌe  kī  ḳhushāmad  bār-hā  barsoñ
inheñ  jhagḌoñ  meñ  mujh  ko  ho  ga.e  ai  bevafā  barsoñ
ma.āz-allāh  is  āzurdagī  kā  kyā  Thikāna  hai
jo  pūchhā  yaar  se  kab  tak  na  bologe  kahā  barsoñ
ġhanīmat  jaan  jo  din  zindagī  ke  aish  meñ  guzreñ
kisī  kā  bhī  nahīñ  rahtā  zamāna  ek  sā  barsoñ
vahī  ḳhūn-e-shahīd-e-nāz  ab  barbād  hotā  hai
rahā  ban  kar  jo  tere  haath  meñ  rañg-e-hinā  barsoñ
hamārī  be-qarārī  kā  zarā  tum  ko  na  dhyān  aayā
mahīnoñ  muntazir  rakkhā  dikhāyā  rāstā  barsoñ
zamāne  meñ  hamesha  har  mahīne  chāñd  hotā  hai
tirā  jalva  nazar  aatā  nahīñ  ai  mah-laqā  barsoñ
vahīñ  par  le  chalī  be-tābi-e-dil  vāh-rī  qismat
phirā  kī  sar  paTaktī  jis  jagah  merī  duā  barsoñ
adā  ho  shukr  kyūñ-kar  be-kasī  o  nā-umīdī  kā
rahī  haiñ  saath  furqat  meñ  yahī  do  āshnā  barsoñ
na  aayā  ek  din  bhī  vo  but-e-be-rahm  ai  'jauhar'
uThā  kar  haath  ka.abe  kī  taraf  māñgī  duā  barsoñ