kaisā  hī  dost  ho  na  kahe  rāz-e-dil  koī
niklī  jo  baat  muñh  se  to  phailī  jahān  meñ
sach  sach  kaho  ye  baat  banānā  nahīñ  pasand
kyā  kah  rahe  the  ġhair  abhī  chupke  se  kaan  meñ
pūchhā  hai  hāl-e-zār  to  sun  lo  ḳhatā-muāf
kuchh  baat  mere  hoñToñ  meñ  hai  kuchh  zabān  meñ
āshiq  se  pūchhiye  na  sar-e-bazm  hāl-e-dil
parde  kī  baat  sunte  haiñ  chupke  se  kaan  meñ
furqat  meñ  kyā  batā.ūñ  ki  din  hai  ki  raat  hai
āñkhoñ  ko  sūjhtā  nahīñ  rone  ke  dhyān  meñ
qasr-e-jahāñ  hai  tere  faqīroñ  kā  jhoñpaḌā
mahloñ  se  baḌh  ke  chain  hai  apne  makān  meñ
do  din  kī  zindagī  meñ  jo  chāhe  koī  kare
rah  jaatī  hai  bhalā.ī  burā.ī  jahān  meñ