milā  kar  ḳhaak  meñ  phir  ḳhaak  ko  barbād  karte  haiñ
ġharīboñ  par  sitam  kyā  kiyā  sitam-ījād  karte  haiñ
hazāroñ  dil  jalā  kar  ġhair  kā  dil  shaad  karte  haiñ
miTā  kar  saikḌoñ  shahr  ek  ghar  ābād  karte  haiñ
mo.azzin  ko  bhī  vo  sunte  nahīñ  nāqūs  to  kyā  hai
abas  shaiḳh  o  barhaman  har  taraf  fariyād  karte  haiñ
hasīnoñ  kī  mohabbat  kā  na  kar  kuchh  e'tibār  ai  dil
ye  zālim  kis  ke  hote  haiñ  ye  kis  ko  yaad  karte  haiñ
vahī  shāgird  phir  ho  jaate  haiñ  ustād  ai  'jauhar'
jo  apne  jaan  o  dil  se  ḳhidmat-e-ustād  karte  haiñ