shauq  se  dil  ko  tah-e-teġh-e-nazar  hone  do
jis  taraf  us  kī  tabī.at  hai  udhar  hone  do
dil  kī  kyā  asl  hai  patthar  bhī  pighal  jā.eñge
ai  buto  tum  mire  nāloñ  meñ  asar  hone  do
ġhair  to  rahte  haiñ  din  raat  tumhāre  dil  meñ
kabhī  is  ghar  meñ  hamārā  bhī  guzar  hone  do
nāseho  ham  to  ḳharīdeñge  matā-e-ulfat
tum  ko  kyā  fā.eda  hotā  hai  zarar  hone  do
valvale  aglī  mohabbat  ke  kahāñ  se  laa.eñ
aur  paidā  koī  dil  aur  jigar  hone  do
chheḌne  ko  mire  darbān  kahā  karte  haiñ
Thahro  jaldī  na  karo  un  ko  ḳhabar  hone  do
kyuuñ  mazā  dekh  liyā  dil  kī  kashish  kā  tum  ne
ham  na  kahte  the  mohabbat  meñ  asar  hone  do
ai  shab-e-vasl-o-shab-e-aish-e-javānī  Thahro
maiñ  bhī  hamrāh  tumhāre  huuñ  sahar  hone  do
ranj  o  rāhat  hai  bashar  hī  ke  liye  ai  'jauhar'
vo  bhī  din  dekh  liye  yuuñ  bhī  basar  hone  do