ye  vaa.iz  kaisī  bahkī  bahkī  bāteñ  ham  se  karte  haiñ
kahīñ  chaḌh  kar  sharāb-e-ishq  ke  nashshe  utarte  haiñ
ḳhudā  samjhe  ye  kyā  sayyād  o  gulchīñ  zulm  karte  haiñ
guloñ  ko  toḌte  haiñ  bulbuloñ  ke  par  katarte  haiñ
dayā  dam  naza.a  meñ  go  aap  ne  par  ruuh  chal  niklī
kisī  ke  rokne  se  jaane  vaale  kab  Thaharte  haiñ
zarā  rahne  do  apne  dar  pe  ham  ḳhāna-ba-doshoñ  ko
musāfir  jis  jagah  ārām  paate  haiñ  Thaharte  haiñ
na  aa  jaayā  karo  aġhyār  kī  ulfat  jatāne  meñ
vo  tum  par  kyuuñ  bhalā  marne  lage  fāqoñ  se  marte  haiñ
har  ik  mausam  meñ  kisht-e-ārzū  sarsabz  rahtī  hai
taraddud  ġhair  ko  hogā  yahāñ  to  chain  karte  haiñ
ye  joḌā  kholnā  bhī  hech  se  ḳhālī  nahīñ  un  kā
ulajh  jaatā  hai  dil  jab  baal  shānoñ  par  bikharte  haiñ
samajh  lenā  tumhārā  ai  raqībo  kuchh  nahīñ  mushkil
ḳhudā  jaane  ye  kis  kā  ḳhauf  hai  ham  kis  se  Darte  haiñ
takalluf  ke  ye  ma.anī  haiñ  samajh  lo  be-kahe  dil  kī
mazā  kyā  jab  hamīñ  ne  ye  kahā  tum  se  ki  marte  haiñ