roz  kahte  the  kabhī  ġhair  ke  ghar  dekh  liyā
aaj  to  aañkh  se  ai  rashk-e-qamar  dekh  liyā
kāba-e-dil  se  milī  manzil-e-maqsūd  kī  raah
yaar  kā  ham  ne  usī  kūche  meñ  ghar  dekh  liyā
jānib-e-ġhair  ishāra  jo  huā  jānte  haiñ
ham  ne  ḳhud  aañkh  se  dekhā  ki  idhar  dekh  liyā
kaun  sotā  hai  kise  hijr  meñ  niiñd  aatī  hai
ḳhvāb  meñ  kis  ne  tumheñ  ek  nazar  dekh  liyā
jab  kahā  maiñ  ne  nahīñ  koī  chalo  mere  ghar
ḳhuub  raste  meñ  idhar  aur  udhar  dekh  liyā
bole  chalne  meñ  nahīñ  uzr  mujhe  kuchh  lekin
ḳhauf  ye  hai  kisī  mufsid  ne  agar  dekh  liyā
aahoñ  se  aag  lagā  deñge  dil-e-dushman  meñ
chhup  ke  rahte  haiñ  jahāñ  aap  kā  ghar  dekh  liyā
bach  gayā  naqd-e-dil  ab  ke  to  nazar  se  us  kī
aa.egā  phir  bhī  agar  chor  ne  ghar  dekh  liyā