tere  kūche  kī  huā  lag  ga.ī  shāyad  us  ko
roz  be-par  kī  uḌātā  hai  kabūtar  ham  se
ham  sulaimān  baneñge  jo  parī  hoge  tum
hosh  meñ  aao  kahāñ  jāoge  uḌ  kar  ham  se
gāliyāñ  kaun  sune  jab  na  rahā  kuchh  matlab
aaj  se  kījiyegā  baat  samajh  kar  ham  se
ham  kisī  aur  ko  tākeñge  tumhāre  hote
kyā  kahā  phir  to  kaho  aañkh  milā  kar  ham  se
aap  ho  jā.eñge  sīdhe  kahīñ  din  hoñ  sīdhe
vo  bhī  TeḌhe  haiñ  jo  TeḌhā  hai  muqaddar  ham  se
vo  bhī  kyā  din  the  ki  jab  rahtī  thiiñ  nīchī  nazreñ
chaar  āñkheñ  jo  huiiñ  phir  ga.e  tevar  ham  se