raat  din  chain  ham  ai  rashk-e-qamar  rakhte  haiñ
shaam  avadh  kī  to  banaras  kī  sahar  rakhte  haiñ
bhāñp  hī  leñge  ishāra  sar-e-mahfil  jo  kiyā
tāḌne  vaale  qayāmat  kī  nazar  rakhte  haiñ
DhūñDh  letā  maiñ  agar  aur  kisī  jā  hote
kyā  kahūñ  aap  dil-e-ġhair  meñ  ghar  rakhte  haiñ
ashk  qaabū  meñ  nahīñ  raaz  chhupā.ūñ  kyūñkar
dushmanī  mujh  se  mire  dīda-e-tar  rakhte  haiñ
kaise  be-rahm  haiñ  sayyād  ilāhī  tauba
mausam-e-gul  meñ  mujhe  kaaT  ke  par  rakhte  haiñ
kaun  haiñ  ham  se  sivā  naaz  uThāne  vaale
sāmne  aa.eñ  jo  dil  aur  jigar  rakhte  haiñ
dil  to  kyā  chiiz  hai  patthar  ho  to  paanī  ho  jaa.e
mere  naale  abhī  itnā  to  asar  rakhte  haiñ
chaar  din  ke  liye  duniyā  meñ  laḌā.ī  kaisī
vo  bhī  kyā  log  haiñ  aapas  meñ  sharar  rakhte  haiñ
hāl-e-dil  yaar  ko  mahfil  meñ  sunā.ūñ  kyuuñ  kar
mudda.ī  kaan  udhar  aur  idhar  rakhte  haiñ
jalva-e-yār  kisī  ko  nazar  aatā  kab  hai
dekhte  haiñ  vahī  us  ko  jo  nazar  rakhte  haiñ
āshiqoñ  par  hai  dikhāne  ko  itaab  ai  'jauhar'
dil  meñ  mahbūb  ināyat  kī  nazar  rakhte  haiñ