kunj-e-qafas  se  pahle  ghar  apnā  kahāñ  na  thā
aa.e  yahāñ  to  hausla-e-āshiyāñ  na  thā
tujh  ko  samajh  ke  ḳhvāb  meñ  pahuñchā  maiñ  jis  jagah
dekhā  jo  aañkh  khol  ke  to  kuchh  vahāñ  na  thā
ik  ik  qadam  pe  ab  to  qayāmat  kī  dhuum  hai
aage  to  ye  chalan  kabhī  ai  jān-e-jāñ  na  thā
Thahrī  jo  vasl  kī  to  huī  sub.h  shaam  se
but  mehrbāñ  hue  to  ḳhudā  mehrbāñ  na  thā
kyūñkar  qasam  pe  aaj  mujhe  e'tibār  aa.e
kis  din  ḳhudā  tumhāre  mire  darmiyāñ  na  thā
toḌā  jo  phuul  bulbul-e-shaidā  ke  sāmne
kyā  tere  dil  meñ  dard  kuchh  ai  bāġhbāñ  na  thā