Lala Madhav Ram Jauhar

gulzar mein jo dur gul-e-lala-rang ho

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890

gulzār meñ jo duur gul-e-lāla-rañg ho

vo be-hijābiyāñ hoñ ki nargis bhī dañg ho

sayyād o bāġhbāñ meñ bahut hotī hai salāh

aisā na ho kahīñ gul o bulbul meñ jañg ho

afsos maut bhī nahīñ aatī shab-e-firāq

vo kyā kare ġharīb jo jiine se tañg ho

kaafī hai boriyā faqīroñ ke vāste

ma.ayūb hai jo sheroñ ke ghar meñ palañg ho

laḌne ko dil jo chāhe to āñkheñ laḌā.iye

ho jañg bhī agar to mazedār jañg ho

jo dost haiñ vo māñgte haiñ sulh duā

dushman ye chāhte haiñ ki aapas meñ jañg ho

koī mare kisī ko ḳhushī ho ḳhudā shaan

mātam kisī jagah ho kahīñ nāch-rañg ho

Top Urdushayar.com