pa.e-gul-gasht  sunā  hai  ki  vo  aaj  aate  haiñ
phūloñ  kī  bhī  ye  ḳhushī  hai  ki  khile  jaate  haiñ
bahr-e-taskīn-e-dil  ahbāb  ye  farmāte  haiñ
aap  kahiye  to  abhī  jā  ke  bulā  laate  haiñ
gudgudī  kar  ke  hañsāte  haiñ  jo  ġhash  meñ  ahbāb
kis  ke  rūmāl  se  talve  mire  sahlāte  haiñ
aap  ke  hote  kisī  aur  ko  chāhūñ  tauba
kis  taraf  dhyān  hai  kyā  aap  ye  farmāte  haiñ
merī  hī  jaan  ke  dushman  haiñ  nasīhat  vaale
mujh  ko  samjhāte  haiñ  un  ko  nahīñ  samjhāte  haiñ
bulbulo  baaġh  meñ  ġhāfil  na  kahīñ  ho  jaanā
har  taraf  ghaat  meñ  sayyād  nazar  aate  haiñ
ḳhuub  pahchān  liyā  ham  ne  tumheñ  dil  de  kar
sach  kahā  hai  ki  jo  khote  haiñ  vahī  paate  haiñ
mujh  ko  bāvar  nahīñ  sach  sach  ye  batā  de  hamdam
tū  ne  kis  se  ye  sunā  hai  ki  vo  aaj  aate  haiñ
kyā  dil  o  diida  bhī  harkāre  haiñ  sub.hān-allāh
laakh  pardoñ  meñ  koī  ho  ye  ḳhabar  laate  haiñ
dekh  achchhā  nahīñ  'jauhar'  kahīñ  maa.il  honā
jab  bhī  samjhāte  the  ab  bhī  tujhe  samjhāte  haiñ