thoḌā  hai  jis  qadar  maiñ  paḌhūñ  ḳhat  habīb  kā
dekhā  hai  aaj  āñkhoñ  se  likkhā  nasīb  kā
ham  mai-kashoñ  ne  nashshe  meñ  aise  kiye  savāl
dam  band  kar  diyā  sar-e-mimbar-ḳhatīb  kā
sayyād  ghaat  meñ  hai  kahīñ  bāġhbāñ  kahīñ
saarā  chaman  hai  dushman-e-jāñ  andalīb  kā
apnī  zabān  se  mujhe  jo  chāhe  kah  leñ  aap
baḌh  baḌh  ke  bolnā  nahīñ  achchhā  raqīb  kā
āñkheñ  safed  ho  ga.iiñ  jab  intizār  meñ
us  vaqt  nāma-bar  ne  diyā  ḳhat  habīb  kā
qismat  Dubone  laa.ī  hai  dariyā-e-ishq  meñ
ai  ḳhizr  paar  kījiye  beḌā  ġharīb  kā
vo  be-ḳhatā  haiñ  un  se  shikāyat  hī  kis  liye
'jauhar'  ye  sab  qusūr  hai  apne  nasīb  kā