kisī  ko  laakh  alam  ho  zarā  malāl  nahīñ
koī  mare  ki  jiye  kuchh  unheñ  ḳhayāl  nahīñ
ye  jāntā  huuñ  magar  kyā  karūñ  tabī.at  ko
ki  mai  harām  hai  ai  vā.izo  halāl  nahīñ
abas  ġhurūr  hai  mañgvā  ke  aa.ina  dekho
vo  rañg-o-rūp  nahīñ  ab  vo  sin  o  saal  nahīñ
huzūr  aap  jo  hote  to  koī  kyuuñ  bantā
ye  ḳhūbī  aap  kī  hai  ġhair  kī  majāl  nahīñ
idhar  to  dekho  hameñ  do  hī  din  meñ  bhuul  ga.e
ye  be-muravvatī  allāh  kuchh  ḳhayāl  nahīñ
bahār-e-husn  ye  do  din  kī  chāñdnī  hai  huzūr
jo  baat  ab  kī  baras  hai  vo  pār-sāl  nahīñ
hazar  na  kījiye  milne  se  ḳhāksāroñ  ke
duā  to  hai  jo  faqīroñ  ke  paas  maal  nahīñ
kisī  ne  jā  ke  burā.ī  kahī  jo  'jauhar'  kī
kahā  ye  jhuuT  hai  us  kī  to  ye  majāl  nahīñ