ham  na  chhoḌeñge  mohabbat  tirī  ai  zulf-e-siyāh
sar  chaḌhāyā  hai  tū  kyā  dil  se  girā.eñ  tujh  ko
chhoḌ  kar  ham  ko  milā  sham.a-ruḳhoñ  se  jā  kar
isī  qābil  hai  tū  ai  dil  ki  jalā.eñ  tujh  ko
dard-e-dil  kahte  hue  bazm  meñ  aatā  hai  hijāb
taḳhliya  ho  to  kuchh  ahvāl  sunā.eñ  tujh  ko
apne  ma.ashūq  kī  suntā  hai  burā.ī  koī
kyuuñ  na  ham  bigḌeñ  jo  aġhyār  banā.eñ  tujh  ko
rūThtā  huuñ  jo  kabhī  maiñ  to  ye  kahtā  hai  vo  shoḳh
kyā  ġharaz  ham  ko  paḌī  hai  jo  manā.eñ  tujh  ko
tū  ne  aġhyār  se  ā.īna  mañgā  kar  dekhā
dil  meñ  aatā  hai  ki  ab  muñh  na  dikhā.eñ  tujh  ko