hote  ḳhudā  ke  us  but-e-kāfir  kī  chaah  kī
itnī  to  baat  mujh  se  huī  hai  gunāh  kī
soz-e-darūñ  kiyā  jo  mirā  sham.a  ne  bayāñ
jal  kar  zabān  kaaT  lī  mere  gavāh  kī
bhartā  hai  aaj  ḳhuub  tarāre  samand-e-nāz
qumchī  hai  un  ke  haath  meñ  zulf-e-siyāh  kī
dekhā  huzūr  ko  jo  mukaddar  to  mar  ga.e
ham  miT  ga.e  jo  aap  ne  mailī  nigāh  kī
furqat  meñ  yaad  aa.e  jo  lutf-e-shab-e-visāl
ik  aah  bhar  ke  jānib-e-gardūñ  nigāh  kī
sunsān  kar  diyā  mire  pahlū  ko  le  ke  dil
zālim  ne  luuT  kar  mirī  bastī  tabāh  kī
vo  mujh  se  kah  rahe  haiñ  ishāroñ  meñ  dekhnā
sab  taaḌ  jā.eñge  sar-e-mahfil  jo  aah  kī
ham  vo  the  dil  hī  dil  meñ  kiyā  zabt-e-rāz-e-ishq
sadme  uThā  ke  mar  ga.e  muñh  se  na  aah  kī
afsos  hai  ki  maiñ  to  phirūñ  dar-ba-dar  ḳharāb
tum  ko  ḳhabar  na  ho  mire  hāl-e-tabāh  kī
'jauhar'  ḳhudā  ke  fazl  se  aisī  ġhazal  kahī
shohrat  mushā.ire  meñ  huī  vāh-vāh  kī