dil  ġhanī  hai  to  muflisī  kyā  hai
ghar  meñ  allāh  ke  kamī  kyā  hai
ik  talavvun  hai  do  mizājoñ  kā
dostī  kyā  hai  dushmanī  kyā  hai
zid  kī  hai  aur  baat  ai  nāseh
varna  baat  aap  kī  burī  kyā  hai
husn  hai  be-niyāz  jalvoñ  se
chāñd  kyā  jaane  chāñdnī  kyā  hai
jaan  kī  shart  hai  mohabbat  meñ
itnī  sī  baat  baat  hī  kyā  hai
har  nafas  yaad  hai  tirī  ai  dost
aur  manshā-e-bandagī  kyā  hai
kyā  farishte  batā.eñge  'afqar'
ham  se  pūchho  ki  aadmī  kyā  hai