makāñ  chhoḌ  kar  lā-makāñ  dekhte  haiñ
kahāñ  vo  haiñ  aur  ham  kahāñ  dekhte  haiñ
ta.ayyun  kā  har  āstāñ  dekhte  haiñ
jahāñ  tum  nahīñ  ham  vahāñ  dekhte  haiñ
uThā  lete  haiñ  ham  bhī  do-chār  tinke
jo  bante  koī  āshiyāñ  dekhte  haiñ
qafas  meñ  asīroñ  pe  girtī  hai  bijlī
chaman  se  jo  uThte  dhuāñ  dekhte  haiñ
nahīñ  dekhte  kuchh  magar  ahl-e-mahshar
mujhe  yā  mirī  dāstāñ  dekhte  haiñ
haqīqat  meñ  dair-o-haram  ek  haiñ  jab
tujhe  donoñ  ke  darmiyāñ  dekhte  haiñ
ye  aaheñ  haiñ  merī  ye  naale  haiñ  mere
jinheñ  āsmāñ  āsmāñ  dekhte  haiñ
dar-e-yār  hai  phir  dar-e-yār  'afqar'
jināñ  ko  ba-hadd-e-jināñ  dekhte  haiñ