Saqib Lakhnavi

ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ek maqtūl-e-jafā do zulm ke qābil na thā
varna dil kā mārnā āsān thā mushkil na thā
shauq-e-āzādī meñ taḌpūñ us pe raazī dil na thā
varna betābī salāmat chhūTnā mushkil na thā
hashr meñ vo sar jhukā.e haiñ maiñ shikva kyā karūñ
jaane vaalī jaan thī merā koī qātil na thā
ab sulaimānī kise kahte haiñ batlā de mujhe
ek aalam thā tirī muTThī meñ merā dil na thā
de sadā ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar
aise bhī dar haiñ kabhī jin par koī saa.il na thā
ḳhaas vaqt-e-yād-e-gulshan aur merā chheḌnā
shab ko bhī sayyād mere zab.h se ġhāfil na thā
sub.h-o-shām-e-ġham ne dāman bhar ke bhejā dahr se
varna is umr-e-do-roza kā koī hāsil na thā
us kī qudrat nā-tavānoñ ko bhī detā hai uruuj
āsmāñ se sar chaḌhe naala to is qābil na thā
tere naqshe ne bhī furqat meñ na bahlāyā mujhe
shām-e-ġham jab aa.ī gurdoñ par har kāmil na thā
dekh lete do qadam chal kar ki matlab thā yahī
dar pe jo aayā thā vo bīmār thā saa.il na thā
qalb-e-sozāñ aur hī dhokā na khānā dahr meñ
rah gayā jo aag de kar sañg thā vo dil na thā
kuchh sambhal jaatā agar karvaT badal jaate mirī
ye mujhe dushvār thā un ke liye mushkil na thā
Dūbtā thā dil shab-e-vasl aa chukī thī tā-sahar
ek tinke kā sahārā bhī lab-e-sāhil na thā
is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr meñ
kaun sā din thā ki maiñ āvāra-e-manzil na thā
ek jaltī sham.a uThvā dī bahut achchhā kiyā
soḳhta-dil thā maiñ koī raunaq-e-mahfil na thā
shām-e-ġham jis meñ rahe barsoñ vahāñ kyā iid ho
vo to aa jaa.e magar ye dil hī is qābil na thā
juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'sāqib' kyā kahūñ
zindagī se shai kabhī us par bhī dil maa.il na thā
Top Urdushayar.com