Saqib Lakhnavi

ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946

ek maqtūl-e-jafā do zulm ke qābil na thā

varna dil mārnā āsān thā mushkil na thā

shauq-e-āzādī meñ taḌpūñ us pe raazī dil na thā

varna betābī salāmat chhūTnā mushkil na thā

hashr meñ vo sar jhukā.e haiñ maiñ shikva kyā karūñ

jaane vaalī jaan thī merā koī qātil na thā

ab sulaimānī kise kahte haiñ batlā de mujhe

ek aalam thā tirī muTThī meñ merā dil na thā

de sadā ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar

aise bhī dar haiñ kabhī jin par koī saa.il na thā

ḳhaas vaqt-e-yād-e-gulshan aur merā chheḌnā

shab ko bhī sayyād mere zab.h se ġhāfil na thā

sub.h-o-shām-e-ġham ne dāman bhar ke bhejā dahr se

varna is umr-e-do-roza koī hāsil na thā

us qudrat nā-tavānoñ ko bhī detā hai uruuj

āsmāñ se sar chaḌhe naala to is qābil na thā

tere naqshe ne bhī furqat meñ na bahlāyā mujhe

shām-e-ġham jab aa.ī gurdoñ par har kāmil na thā

dekh lete do qadam chal kar ki matlab thā yahī

dar pe jo aayā thā vo bīmār thā saa.il na thā

qalb-e-sozāñ aur dhokā na khānā dahr meñ

rah gayā jo aag de kar sañg thā vo dil na thā

kuchh sambhal jaatā agar karvaT badal jaate mirī

ye mujhe dushvār thā un ke liye mushkil na thā

Dūbtā thā dil shab-e-vasl aa chukī thī tā-sahar

ek tinke sahārā bhī lab-e-sāhil na thā

is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr meñ

kaun din thā ki maiñ āvāra-e-manzil na thā

ek jaltī sham.a uThvā bahut achchhā kiyā

soḳhta-dil thā maiñ koī raunaq-e-mahfil na thā

shām-e-ġham jis meñ rahe barsoñ vahāñ kyā iid ho

vo to aa jaa.e magar ye dil is qābil na thā

juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'sāqib' kyā kahūñ

zindagī se shai kabhī us par bhī dil maa.il na thā

Top Urdushayar.com