Afqar Mohani

ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971

ye kis ke āstāne zamīñ ma.alūm hotī hai

ki jumbish meñ mirī lauh-e-jabīñ ma.alūm hotī hai

do-rañgī dair-o-ka.aba nahīñ ma.alūm hotī hai

haqīqat āshnā merī jabīñ ma.alūm hotī hai

maiñ chāhūñ bhī to sañg-e-āstāñ se uTh nahīñ saktā

ki juzv-e-āstāñ apnī jabīñ ma.alūm hotī hai

davāñ hai kashtī-e-umr-e-ravāñ yuuñ bahr-e-hastī meñ

kahīñ ubhrī kahīñ Duubī kahīñ ma.alūm hotī hai

ye ik be-rabt jāma-darī aur apne hāthoñ

jahāñ pahle thā dāman āstīñ mālūm hotī hai

ye jalva-zār-e-duniyā bhī ajab ā.īna-ḳhāna hai

ki har tasvīr hairat-āfrīñ ma.alūm hotī hai

tajallī husn-e-jānāñ nahīñ mauqūf aiman par

jahāñ mahsūs kartā huuñ vahīñ ma.alūm hotī hai

nazar aate haiñ jalve vo jahāñ ke un chaukhaT par

ḳhudā.ī ab mire zer-e-nagīñ ma.alūm hotī hai

utar aayā hai naqsha āstān-e-yār 'afqar'

jabīn-e-shauq ab merī jabīñ ma.alūm hotī hai

Top Urdushayar.com