shab-e-firāq  hamārā  vo  nīm-jāñ  honā
ajal  kā  aap  hī  ghar  meñ  vo  mehmāñ  honā
ḳhafā  na  sun  ke  mirā  haal  mehrbāñ  honā
ki  is  bayān  ko  ik  din  hai  dāstāñ  honā
dayār-e-husn  kī  sar-garmiyāñ  ma.āz-allāh
har  ik  qadam  pe  mohabbat  kā  imtihāñ  honā
koī  sitam  ho  yahīñ  se  shurūa  hotā  hai
ġhazab  hai  kūcha-e-jānāñ  kā  āsmāñ  honā
ajal  se  pahle  sabā  le  uḌī  sar-e-manzil
kahāñ  pe  aayā  hai  kaam  apnā  nā-tavāñ  honā
uThā  vo  dard  kaleje  meñ  vo  gire  aañsū
nahīñ  hai  khel  mohabbat  kā  rāz-dāñ  honā
nigāh-e-qahr  kabhī  aur  kabhī  karam  kī  nazar
inhīñ  adāoñ  kā  mil-jul  ke  dāstāñ  honā
vo  kyā  kare  na  miTe  gar  tirī  mohabbat  meñ
likhā  ho  jis  ke  muqaddar  meñ  be-nishāñ  honā
abhī  na  shaad  ho  takmīl-e-ishq  par  'afqar'
abhī  hai  tark-e-mohabbat  kā  imtihāñ  honā