Afqar Mohani

KHushi jaante hain na gham jaante hain

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
ḳhushī jānte haiñ na ġham jānte haiñ
jo un kī razā ho vo ham jānte haiñ
jo kuchh chaar tinkoñ ko ham jānte haiñ
vo gulchīn-o-sayyād kam jānte haiñ
tumhāre hī jalvoñ kī ham raushnī ko
tajallī-e-dair-o-haram jānte haiñ
maiñ qātil na mahshar meñ samjhūñ bhī to kyā
tumheñ sab ḳhudā kī qasam jānte haiñ
mirī ḳhāk-e-dil kā patā bhī nahīñ hai
vo itne sitam ko bhī kam jānte haiñ
ḳhudā ko ḳhudā ham samajhte haiñ vaa.iz
magar haañ sanam ko sanam jānte haiñ
kareñge na arz-e-tamannā ki ham ḳhud
mohabbat kā apnī bharam jānte haiñ
vahī kuchh samajhte haiñ asrār-e-hastī
jo hastī ko apnī adam jānte haiñ
matā-e-do-ālam samajhte haiñ ham bhī
magar chaar tinkoñ se kam jānte haiñ
kahīñ rāz-e-ulfat bhī hotā hai zāhir
kaheñ kyoñ jo kuchh tum ko ham jānte haiñ
ḳhudā ko vahī ḳhuub pahchānte haiñ
tumheñ jo ḳhudā kī qasam jānte haiñ
khulī haiñ dam-e-naz.a āñkheñ jo 'afqar'
abhī tak vo āñkhoñ meñ dam jānte haiñ
Top Urdushayar.com