Afqar Mohani

saba ko fikr hai kaba naya banane ki

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971

sabā ko fikr hai ka.aba nayā banāne

ki jam.a kartī hai ḳhaak un ke āstāne

falak ko zid hai nasheman mirā miTāne

chaman meñ dhun hai mujhe āshiyāñ banāne

zamīñ pe lāla-o-gul se hai ibtadā-e-bayāñ

shafaq hai āḳhirī surḳhī mire fasāne

isī se niklegā ta.amīr bhī ik pahlū

zarūr chāhiye taḳhrīb āshiyāne

hazār jalva-e-be-rañg sad matā.a-e-nazar

nahīñ hai husn ko hājat naqāb uThāne

khulā ye raaz ki thiiñ kis qadar fareb-e-nazar

ajal ke bhes meñ rañgīniyāñ zamāne

asīro kar lo nasheman āḳhirī mātam

qafas meñ aa.ī hai ḳhaak uḌ ke āshiyāne

sunī thī vus.at-e-duniyā dāstāñ ham ne

magar milī na jagah āshiyāñ banāne

ye kah ke palTe haiñ duniyā ke dekhne vaale

ki ye jagah nahīñ vallāh dil lagāne

banā bahār meñ ujḌā ḳhizāñ meñ ai 'afqar'

haqīqat itnī bas apne āshiyāne

Top Urdushayar.com