Asif Saqib

ojhal hui nazar se be-baal-o-par gai hai

Asif Saqib

1939

ojhal huī nazar se be-bāl-o-par ga.ī hai

lafzoñ be-karānī bastoñ meñ bhar ga.ī hai

dīvār-e-dil pe ab tak ham dekhte rahe haiñ

tasvīr kis laTkī kis utar ga.ī hai

us galī meñ ham par patthar baras paḌe the

jaisā guzar huā thā vaisī guzar ga.ī hai

jab DhūñDte rahe the utnī ḳhabar nahīñ thī

ham meñ kidhar se aa.ī duniyā kidhar ga.ī hai

bhāgī thī ik hasīna bāġhoñ ke shor-o-ġhul se

us balā javānī bachchoñ se Dar ga.ī hai

hai chal-chalāv kaisā kaisā hai ānā-jānā

vo shaam chukī thī ab vo sahar ga.ī hai

siine ke biich 'sāqib' aisā hai marnā jiinā

ik yaad uThī thī ik yaad mar ga.ī hai

Top Urdushayar.com