Akhtar Saeed

har ghaDi fikr-e-rasti kya hai

Akhtar Saeed

har ghaḌī fikr-e-rāstī kyā hai
ik musībat hai zindagī kyā hai
ghup añdherā hai mere chāroñ-or
is meñ thoḌī sī raushnī kyā hai
bahut uljhā huā hisāb hai ye
merā khātā hai kyā bahī kyā hai
naam haiñ nafs kī parastish ke
dostī kyā hai dushmanī kyā hai
shahr meñ rah ke dekhiye ik din
duur jañgal meñ rāhebī kyā hai
saarī bātoñ kā maiñ musannif huuñ
mere aage likhī sunī kyā hai
maiñ ne dekhā hai ḳhuuñ kī sham.oñ se
gum-rahī kyā hai rah-ravī kyā hai
ahd-e-pīrī meñ apnī lauh-e-zamīr
saaf ho gar to khusravī kyā hai
ye tazādāt ye sarāb ye dil
zindagī kyā hai aadmī kyā hai
band ashkāl meñ muqayyad huuñ
aql kis kaam āgahī kyā hai
sochtā huuñ to kuchh nahīñ khultā
jāntā huuñ magar badī kyā hai
dil meñ vasvās yā-alī kyuuñ hai
sar-e-mahjūb yā-nabī kyā hai
Top Urdushayar.com