Akhtar Saeed

har ghaDi fikr-e-rasti kya hai

Akhtar Saeed

har ghaḌī fikr-e-rāstī kyā hai

ik musībat hai zindagī kyā hai

ghup añdherā hai mere chāroñ-or

is meñ thoḌī raushnī kyā hai

bahut uljhā huā hisāb hai ye

merā khātā hai kyā bahī kyā hai

naam haiñ nafs parastish ke

dostī kyā hai dushmanī kyā hai

shahr meñ rah ke dekhiye ik din

duur jañgal meñ rāhebī kyā hai

saarī bātoñ maiñ musannif huuñ

mere aage likhī sunī kyā hai

maiñ ne dekhā hai ḳhuuñ sham.oñ se

gum-rahī kyā hai rah-ravī kyā hai

ahd-e-pīrī meñ apnī lauh-e-zamīr

saaf ho gar to khusravī kyā hai

ye tazādāt ye sarāb ye dil

zindagī kyā hai aadmī kyā hai

band ashkāl meñ muqayyad huuñ

aql kis kaam āgahī kyā hai

sochtā huuñ to kuchh nahīñ khultā

jāntā huuñ magar badī kyā hai

dil meñ vasvās yā-alī kyuuñ hai

sar-e-mahjūb yā-nabī kyā hai

Top Urdushayar.com