Akhtar Saeed

hai nasim-e-subh aawara usi ke nam par

Akhtar Saeed

hai nasīm-e-sub.h āvāra usī ke naam par

bū-e-gul Thahrī huī hai jis kalī ke naam par

kuchh na niklā dil meñ dāġh-e-hasrat-e-dil ke sivā

haa.e kyā kyā tohmateñ thiiñ aadmī ke naam par

phir rahā huuñ kū-ba-kū zanjīr-e-rusvā.ī liye

hai tamāshā tamāshā zindagī ke naam par

ab ye aalam hai ki har patthar se Takrātā huuñ sar

maar Daalā ek but ne bandagī ke naam par

kuchh ilaaj un bhī sochā tum ne ai chāragaro

vo jo dil toḌe ga.e haiñ dilbarī ke naam par

koī pūchhe mere ġham-ḳhvāroñ se tum ne kyā kiyā

ḳhair us ne dushmanī dostī ke naam par

koī pābandī hai hañsne par na ronā jurm hai

itnī āzādī to hai dīvāngī ke naam par

aap ke naam se paa.ī hai dil ne zindagī

ḳhatm hogā ab ye qissa aap ke naam par

kārvān-e-sub.h yaaro kaun manzil meñ hai

maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ raushnī ke naam par

Top Urdushayar.com