agar  itnā  na  tū  ayyār  hotā
to  dushman  kā  na  hargiz  yaar  hotā
duī  kā  naqsh  miTtā  dil  se  ai  kaash
mai-e-vahdat  se  maiñ  sarshār  hotā
jo  hote  āj-kal  qais  aur  farhād
maiñ  un  kā  qāfila-sālār  hotā
na  hotā  gar  tirā  tālib  jahāñ  meñ
to  maiñ  pāband-e-nañg-o-ār  hotā
lagā.e  chaaT  par  haiñ  us  ko  dushman
ilāhī  maiñ  bhī  kuchh  zardār  hotā
agar  hotā  mujhe  paas  aabrū  kā
na  terā  āshiq-e-dīdār  hotā
taḌaptā  hai  qafas  meñ  tā.ir-e-dil
nikal  jaatā  agar  par-dār  hotā
tamannā  dil  kī  'sāqī'  jab  nikaltī
agar  muñh  se  na  kuchh  iz.hār  hotā