hamārā  husn-e-ta.alluq  vafā  bane  na  bane
vo  ishva-sanj  hai  farruḳh-liqā  bane  na  bane
chale  haiñ  shauq  meñ  ham  yā-ḳhudā  bane  na  bane
vo  kyā  sulūk  kare  dil-rubā  bane  na  bane
kiyā  tasavvur-e-maqsūd  ne  hameñ  hairāñ
ye  muntahā-e-nazar  mudda.ā  bane  na  bane
safīna  bahr-e-ta.ashshuq  meñ  ab  to  Daal  chukā
jo  āshnā  hai  mirā  nā-ḳhudā  bane  na  bane
fareb-e-jalva  hai  naqsh-o-nigār  fitrat  meñ
jo  mahv-e-dīd  ho  hairat-adā  bane  na  bane
shahīd-e-kaif-e-tamannā  hai  āshiq-e-betāb
bahār-e-husn-e-safā  ham-navā  bane  na  bane
fusūñ  ḳhayāl  hai  tahrīk-e-shauq-e-ra.anā.ī
vo  mast-e-nāz  mirā  ḳhud-numā  bane  na  bane
bañdhī  hai  ḳhanda-e-zer-e-labī  se  kuchh  ummīd
vo  zūd-ranj  hai  zūd-āshnā  bane  na  bane
vo  jazb-e-qalb  ke  nairañg  kā  huā  qaa.il
hamārā  aa.ina  hairat-numā  bane  na  bane
kabhī  to  jām-e-ināyat  kā  ho  ġhanī  'sāqī'
ye  be-niyāz  tirā  be-navā  bane  na  bane