hastī-e-nīst-numā  dīda-e-hairāñ  samjhā
tujh  ko  daurān-e-baqā  ḳhvāb-e-pareshāñ  samjhā
kufr-o-īmāñ  kā  ajab  rañg  hai  nairañgī  meñ
ye  vo  nairañg  hai  kāfir  na  musalmāñ  samjhā
lailī-e-shoḳh-adā  ain-e-tasavvur  jo  banī
qais  ko  dāman-e-sahrā  meñ  hudā-ḳhvāñ  samjhā
vus.at-e-mashrab-e-rindāñ  kā  nahīñ  hai  mahram
zāhid-e-sāda  hameñ  be-sar-o-sāmāñ  samjhā
rañg-e-fitrat  ne  banāyā  hai  jo  majzūb-e-qimāsh
manzar-e-ālam-e-nairañg-e-bayābāñ  samjhā
sālik-e-rāh-e-talab  aap  hue  rāh-e-ġhalat
jāda-e-manzil-e-dushvār  ko  āsāñ  samjhā
jām-e-sarshār  se  masrūr  rahegā  'sāqī'
terā  mastāna  bhī  ai  sāqī-e-daurāñ  samjhā