vo  paas  hai  tere  duur  nahīñ  tū  vāsil  hai  mahjūr  nahīñ
kyuuñ  habl-e-murkkab  meñ  hai  phañsā  muḳhtār  hai  tū  majbūr  nahīñ
sargarm-e-shauq-o-huzūr  nahīñ  dil  sard  hai  tū  mahrūr  nahīñ
jis  qalb  meñ  ishq  kā  nuur  nahīñ  vo  tāb-e-jalva-e-tūr  nahīñ
har  rañg  meñ  hai  vo  jalva-numā  tū  ek  hijāb  meñ  jā  ke  chhapā
kyuuñ  kor  savād  huā  hai  batā  kyā  āñkhoñ  meñ  tire  nuur  nahīñ
jo  ishq  meñ  bar-sar-e-dār  huā  sardār  vahī  sarshār  huā
sarmast  visāl-e-yār  huā  kis  tarah  kaheñ  mansūr  nahīñ
jo  bātin  meñ  mashġhūl  hue  mahbūb  hue  maqbūl  hue
maj.hūl  hue  mārūf  kahāñ  mash.hūr  jo  haiñ  manzūr  nahīñ
kyuuñ  mahv-e-sar-e-pindār  huā  ai  musht-e-ḳhāk  hai  naqsh-e-fanā
duniyā  meñ  kahāñ  hai  rañg-e-baqā  jamshed  nahīñ  maġhfūr  nahīñ
mastūr  jo  thā  manzūr  huā  vo  jalva-e-rañg-e-zuhūr  huā
jo  hijāb  thā  ruḳh  se  duur  huā  mushtāq-laqā  mahjūr  nahīñ
jo  aap  huā  benām-o-nishāñ  us  ko  hai  milā  vo  jān-e-jahāñ
merāj-e-visāl  hai  us  ko  kahāñ  jo  ishq  meñ  chaknā-chūr  nahīñ
maiñ  terā  fidā-e-sarāpā  huuñ  maiñ  tālib-e-vasl-e-muarra  huuñ
mushtāq-o-shaidā  terā  huuñ  maiñ  tālib-e-hūr-o-qusūr  nahīñ
maḳhmūr-e-jām-e-bāqī  hai  shaidā-e-navā-e-irāqī  hai
sarshār-e-mohabbat  'sāqī'  hai  sar-mast  hai  ye  mastūr  nahīñ