Pandit Jawahar Nath Saqi

humse jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya

Pandit Jawahar Nath Saqi

ham se jo ahd thā vo ahd-shikan bhuul gayā

apne ushshāq ko vo ġhuncha-dahan bhuul gayā

qais jalva-e-lailā jo huā hosh-rubā

vo sarāsīma huā najd ban bhuul gayā

kyā karishma ye tirī chashm-e-suḳhan-go ne kiyā

kis jānib thā mirā rū-e-suḳhan bhuul gayā

ḳhaar ḳhār-e-ġham-e-ulfat ne kiyā raah ġhalat

terā mad.hosh-e-nazar rāh-e-chaman bhuul gayā

nigah-e-shauq ne dīvāna banāyā mujh ko

kuchh ḳhabar apnī nahīñ hai hama-tan bhuul gayā

ho gayā hosh-rubā husn-e-fareb-e-ālam

nal jo baazī meñ lagā ishq-e-daman bhuul gayā

shauq-o-ram tere jo dekhe haiñ ġhazāl-e-ra.anā

chaukḌī apnī bayābāñ meñ hiran bhuul gayā

sair-e-gulzār meñ hai mahv-e-tamāshā vo gul

bulbul-e-shefta ko ġhuncha-dahan bhuul gayā

sabza-e-ḳhat ne tire raah meñ gherā mujh ko

ġharq maiñ ho na sakā chāh-e-zaqan bhuul gayā

mahv hotā nahīñ is kabhī dil se ḳhayāl

yaad kartā nahīñ mushfiq-e-man bhuul gayā

shāhid-e-mast ne sarmast kiyā hai 'sāqī'

ham vo mad.hosh hue rañg-e-suḳhan bhuul gayā

Top Urdushayar.com