is  shoḳh-e-ram-shi.ār  se  kahtā  salām-e-shauq
qāsid  yahī  hai  aaj  hamārā  payām-e-shauq
tā.īd-e-ġhaib  tāle-e-farḳhanda  kī  madad
vo  ishva-sanj  aaj  huā  ham-kalām-e-shauq
qāsid  kiyā  hai  ahd  jo  īfā-e-ahd  kā
sub.h-umīd-e-vasl  huī  apnī  shām-e-shauq
kyā  muttasil  ho  yaar  talavvun  hai  tab.a  meñ
ye  der-pā  kahāñ  hai  tumhārā  qayām-e-shauq
madd-e-nazar  jo  hai  vo  hameñ  āshkār  ho
ai  jazb-e-dil-navāz  madār-ul-mahām-e-shauq
majzūb-e-ishtiyāq  haiñ  mast-e-mai-jamāl
roz-e-nuḳhust  se  hai  ye  sharb-e-mudām-e-shauq
be-rāh  jā  rahā  hai  tujhe  kuchh  ḳhabar  nahīñ
kis  pher  meñ  paḌā  hai  batā  harzā-gām-e-ishq
is  kaif-e-zauq-o-shauq  meñ  tasvīr-e-yār  hai
farruḳh-sarosh  ne  ye  diyā  hai  payām-e-shauq
taufīq  kā  hai  faiz  nigāh-e-dalīl-e-rāh
ham  ko  milā  hai  ġhaib  se  kās-ul-kirām-e-shauq
'sāqī'  vo  dekh  shāhid-e-mai-nosh  aa  gayā
labrez  hai  ye  shā.eq-e-nazzāra  jām-e-shauq