ta.ayyun  tasalsul  hai  naqsh-e-badan  kā
usī  se  ta.alluq  hai  ye  jān-o-tan  kā
tasavvuf  tabaddul  hai  ādāt-e-bad  kā
ta.arruf  natīja  hai  ḳhulq-e-hasan  kā
vahī  gul  shajar  hai  vahī  bostāñ  hai
vahī  aap  hai  bāġhbāñ  is  chaman  kā
vo  be-kaif-o-kam  hai  qadīm-o-azal  se
usī  se  hai  ye  naqsh-e-dahr-e-kuhan  kā
tavallā  samajh  ham-zabānī  se  behtar
ta.ashshuq  huā  ham-dam-o-ham-suḳhan  kā
ram-o-shauq  kī  bhī  ajā.ib  kashish  hai
burā  haal  hai  āshiq-e-ḳhasta-tan  kā
jo  sirr-e-ḳhafī  hai  vo  ain-e-jalī  hai
khulā  aaj  uqda  ye  sirr-e-dahan  kā
latāif  meñ  muzmar  hai  tasvīr-e-vahdat
ye  ḳhalvat  meñ  paidā  hai  lutf  anjuman  kā
nazar  bar-qadam  hai  tarīq-e-tasavvur
ram-o-shauq  jaada  hai  sirr-o-elan  kā
nihāñ  se  ayaañ  hai  ayaañ  meñ  nihāñ  hai
ye  jaada  milā  hai  safar  dar-vatan  kā
sulūk-e-tarīqat  hai  āfāq-o-anfus
ki  jalva  hai  tanzīh  meñ  sīm-tan  kā
vo  be-parda  bhī  parda-posh-e-nazar  hai
hijāb  aa  gayā  hai  hameñ  husn-e-zan  kā
kabhī  shād-o-ḳhandāñ  kabhī  zār-o-nālāñ
tamāshā  hai  'sāqī'  ke  dīvāna-pan  kā