yahī  tamanna-e-dil  hai  un  kī  jidhar  ko  ruḳh  ho  udhar  ko  chaliye
huā  hai  go  ishtiyāq  behad  jamā  ke  pā-e-nazar  ko  chaliye
hue  haiñ  mahrūm-e-dīd-e-be-dil  kiyā  tajāhul  kā  us  ne  bismil
vo  dil-rubā  ban  gayā  hai  qātil  kamar  ko  kas  ke  safar  ko  chaliye
ġharaz  thī  iz.hār-e-mudda.ā  se  sitam  ko  kiyā  ho  ga.e  jo  shākī
vo  dekhte  hī  bigaḌ  na  jaa.eñ  bulāne  ab  nāma-bar  ko  chaliye
banā  hai  dam-sāz  kaun  un  kā  pata  nahīñ  muddatoñ  se  lagtā
ye  raaz  ho  jaa.e  āshkārā  kahīñ  se  lene  ḳhabar  ko  chaliye
agar  hai  shauq-e-jamāl-e-jānāñ  nahīñ  hai  kuchh  pās-e-vaz.a-e-mauzūñ
shikoh-e-tamkīñ  vidā.a  kiije  manāne  us  ishva-gar  ko  chaliye
shahīd  hai  'sāqī'-e-duā-go  kashīda  kyuuñ  is  qadar  hue  ho
kabhī  to  ai  yaar  dekhne  ko  zarā  qatīl-e-nazar  ko  chaliye