tālib-e-ishq  hai  kyā  sālik-e-uryāñ  na  huā
qurb  mahjūr  huā  vāsil-e-jānāñ  na  huā
haiñ  junūñ  josh  vahī  jazb  kā  nisyāñ  na  huā
qatra  dariyā  jo  huā  aa.ina  hairāñ  na  huā
kyā  siya-mast  huā  kaif  meñ  raqsāñ  na  huā
jām-e-sar-josh  se  bhī  sālik-e-vajdāñ  na  huā
vasl-e-mau.ūd  se  āshob-e-tamannā  hai  adam
be-tamannā  tirā  āshufta-e-hijrāñ  na  huā
maiñ  jo  majzūb-e-azal  thā  na  ga.ī  mahviyyat
sub.h-e-mahshar  se  mirā  chaak  garebāñ  na  huā
dīd-e-be-chūn-o-chigūñ  sair-e-latā.ef  meñ  jo  thī
mahv-e-ā.īna-e-nairñgī-e-alvāñ  na  huā
vus.at-e-mashrab-e-rindāñ  hai  tilism-e-hairat
ye  kisī  tañg  fazā  dil  kā  bayābāñ  na  huā
sūrat-e-hāl  ne  mash.hūd  kiyā  kaif-e-batūñ
rāz-e-sar-basta  mirā  girya-e-pinhāñ  na  huā
jam.a  kyuuñ  farq  ho  nairañg-e-mazāhir  ke  sabab
terā  manzūr-e-nazar  āñkhoñ  se  pinhāñ  na  huā
aañkh  se  aañkh  laḌī  chīn-e-jabīñ  mahv  huī
shauq-e-dīdār  mirā  jalvā-pashemāñ  na  huā
jām-e-sarshār  meñ  kuchh  kaif  na  aayā  ham  ko
'sāqī'-e-mast  jo  sar-halqa-e-mastāñ  na  huā