Pandit Jawahar Nath Saqi

hasrat-o-ummid ka matam raha

Pandit Jawahar Nath Saqi

hasrat-o-ummīd mātam rahā

ye vo dil hai jo sadā pur-ġham rahā

ik na ik mujh par sadā aalam rahā

maiñ kabhī be-jāñ kabhī be-dam rahā

merī qismat kajī aks hai

ye jo barham gesu-e-pur-ḳham rahā

vo dil-e-ġham-ghīñ hai merā ġham-pasand

ġham ke jaane bhī jis ko ġham rahā

dil ko har-dam ik pareshānī rahī

zulf-e-jānāñ tarah barham rahā

vo namak-afshāniyāñ qātil ne kiiñ

zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham rahā

baḌhte baḌhte ho gayā nāsūr dil

ḳhuun qatra jo dil meñ jam rahā

thā faqat ik ġham madār-e-zindagī

ġham rahā dil meñ to vo bhī kam rahā

girya-o-zārī yahī 'sāqī' rahī

dil hasrat sadā mātam rahā

Top Urdushayar.com