tujhe  ḳhalq  kahtī  hai  ḳhud-numā  tujhe  ham  se  kyuuñ  ye  hijāb  hai
tirā  jalva  terā  hai  parda-dar  tere  ruḳh  pe  kyuuñ  ye  naqāb  hai
tujhe  husn  māya-e-nāz  hai  dil-e-ḳhasta  mahv-e-niyāz  hai
kahūñ  kyā  ye  qissa-e-rāz  hai  mirā  ishq  ḳhāna-ḳharāb  hai
ye  risāla  ishq  kā  hai  adaq  tire  ġhaur  karne  kā  hai  sabaq
kabhī  dekh  is  ko  varaq  varaq  mirā  siina  ġham  kī  kitāb  hai
tirī  jazb  meñ  hai  rubūdgī  tere  sukr  meñ  hai  ġhunūdgī
na  ḳhabar  shuhūd-o-vajūd  kī  na  tarañg-e-mauj-e-sarāb  hai
ye  vahī  hai  'sāqī'-e-shefta  jo  hai  dil  se  terā  farefta
ye  hai  terā  banda  gurīḳhta  ki  jo  ḳhāksār-e-turāb  hai