tū  hī  anīs-e-ġham  rahā  nāla-e-ġham-gusār-e-shab
yās-pasand  jab  huā  bismil-e-intizār-e-shab
rañg-e-shikast  kyuuñ  na  ho  hāl-e-umīd-vār-e-shab
tū  hī  to  ishva-gar  huā  bā.is-e-intishār-e-shab
shauq-e-liqā-e-rū-e-yār  chashm-ba-rāh-e-intizār
āh-e-sahar  se  jā  milā  dīda-e-ashk-bār-e-shab
dard-e-shakeb-soz  hai  karb  vahī  hanūz  hai
dekh  na  ho  vo  bevafā  aaj  kahīñ  nisār-e-shab
lail-o-nahār  sāzgār  apne  kabhī  nahīñ  hue
dekhte  kaash  ai  nigār  va.ada-e-ustuvār-e-shab
bahr-e-ḳhudā  kabhī  to  kar  shaad  shahīd-e-shauq  ko
roz-e-sa.īd  hai  vahī  yaar  jo  tū  ho  yār-e-shab
vaqfa-e-umr  ek  dam  haif  hai  vo  bhī  sarf-e-ġham
kis  ko  hai  e'timād-e-roz  kis  ko  hai  e'tibār-e-shab
din  ko  ḳhayāl  vasl  kā  raat  ko  dard-e-hijr  hai
shaġhl  vo  roz  kā  huā  aur  ye  kārobār-e-shab
ye  shab-e-māhtāb  hai  saaf  hameñ  javāb  hai
māh-laqā  haiñ  muntazir  mil  ke  dikhā  bahār-e-shab
hasrat-e-ishtiyāq  ne  aaj  kiyā  shahīd-e-hijr
mere  dil-nigār  kā  dekh  to  le  mazār-e-shab
bāb-e-qubūl-e-mudda.ā  dā.ī-e-ḳhair  hai  tirā
ho  dil-e-shab  meñ  nāla-kash  ai  dil-e-be-qarār-e-shab
ab  nahīñ  vaqf-e-intizār  raat  ko  mil  gayā  nigār
merā  karīm-e-kār-sāz  ho  gayā  pardār-e-shab
dam-kash-e-aish-o-ḳhurramī  thā  ye  firāq-e-sonā-soz
daur-e-nashāt  ho  gayā  shukr  hai  ham-kanār-e-shab
ba.ad-e-firāq  rañg-e-vasl  hotā  hai  ain  imbisāt
merā  vo  rāhat-e-ravāñ  dil  se  huā  do-chār-e-shab
is  kā  shi.ār  kyuuñ  na  ho  pās-e-hijāb-e-āshiqāñ
shab  hai  hamārī  rāzdāñ  ham  jo  haiñ  rāzdār-e-shab
chhup  na  sakā  hijāb  meñ  ishva-e-husn-e-ḳhud-numa
aayā  jo  maah  oḌh  kar  chādar-e-zar-nigār-e-shab
jaam  sharāb-e-shauq  kā  detā  hai  shoḳh  māh-rū
mast-e-surūr  kyuuñ  na  hoñ  'sāqī'  mai-gusār-e-shab