Pandit Jawahar Nath Saqi

dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega

Pandit Jawahar Nath Saqi

dāġh-e-ġham-e-firāq miTāyā na jā.egā

jaltā huā charāġh bujhāyā na jā.egā

insāf apnā dāvar-e-mahshar se ho to ho

qaziya kisī se dil chukāyā na jā.egā

roko na chashm-e-shoḳh ko merī taraf se tum

āñkheñ haiñ dil nahīñ ki milāyā na jā.egā

hai dil meñ un ke ġhair sūrat basī huī

dil meñ bhī ab to un ko biThāyā na jā.egā

hai terī yaad dil meñ mare naqsh-kal-hajar

dil se tirā ḳhayāl miTāyā na jā.egā

'sāqī' hai tum ko milne jis gul aarzū

us se sar-e-mazār bhī aayā na jā.egā

Top Urdushayar.com