Pandit Jawahar Nath Saqi

jazbe mein suluk aur nafi mein hai jo isbaat

Pandit Jawahar Nath Saqi

jazbe meñ sulūk aur nafī meñ hai jo isbāt
ai sālik-e-majzūb ye hai sair-e-maqāmāt
tajdīd-e-misālī meñ hai tafrīd-e-mujarrad
tauhīd hai ye aur haiñ be-sarfa ḳhayālāt
be-rañg meñ nairañg hai vahdat meñ hai kasrat
a.adād hoñ afrād jo ho tark-e-izāfāt
ḳhalvat meñ huā jalva safar meñ bhī vatan hai
āfāq meñ anfus hai ūlul-azm-e-kamālāt
āġhāz meñ anjām hai farjām meñ ārām
ai sālik-e-shattār bidāyāt nihāyāt
tafrīq meñ hai jam.a tajallī meñ huā sitr
tahqīq meñ tārīf hai taqlīd-e-hikāyāt
mastūrī meñ mastī hai yahāñ sahv meñ hai mahv
ai sāqī-e-shorīda-o-uriyān-e-ḳharābāt
Top Urdushayar.com