jazbe  meñ  sulūk  aur  nafī  meñ  hai  jo  isbāt
ai  sālik-e-majzūb  ye  hai  sair-e-maqāmāt
tajdīd-e-misālī  meñ  hai  tafrīd-e-mujarrad
tauhīd  hai  ye  aur  haiñ  be-sarfa  ḳhayālāt
be-rañg  meñ  nairañg  hai  vahdat  meñ  hai  kasrat
a.adād  hoñ  afrād  jo  ho  tark-e-izāfāt
ḳhalvat  meñ  huā  jalva  safar  meñ  bhī  vatan  hai
āfāq  meñ  anfus  hai  ūlul-azm-e-kamālāt
āġhāz  meñ  anjām  hai  farjām  meñ  ārām
ai  sālik-e-shattār  bidāyāt  nihāyāt
tafrīq  meñ  hai  jam.a  tajallī  meñ  huā  sitr
tahqīq  meñ  tārīf  hai  taqlīd-e-hikāyāt
mastūrī  meñ  mastī  hai  yahāñ  sahv  meñ  hai  mahv
ai  sāqī-e-shorīda-o-uriyān-e-ḳharābāt