jalva-e-dīdār  to  ik  baat  hai
lan-tarānī  āshiqoñ  kī  ghaat  hai
āshnā  jis  kā  hai  tū  ārām-e-jāñ
vo  jahāñ  meñ  morid-e-āfāt  hai
bosa-e-ruḳh  de  zakāt-e-husn  hai
ai  hasīñ  ye  dāḳhil-e-hasnāt  hai
ā.ina-ḳhāna  banā  hai  merā  dil
dekh  le  kyā  ḳhushnumā  mir.āt  hai
jān-o-dil  thā  nazr  terī  kar  chukā
tere  āshiq  kī  yahī  auqāt  hai
girya-e-ushshāq  par  haiñ  ḳhanda-zan
kahte  haiñ  kyā  ḳhushnumā  barsāt  hai
hijr  kī  shab  hai  hujūm-e-sad-balā
maiñ  huuñ  tanhā  aur  ḳhudā  kī  zaat  hai
ḳhātma-bil-ḳhair  ho  jaa.e  kahīñ
sharm  apnī  ab  ḳhudā  ke  haath  hai
zindagī  hai  chaar  din  kī  chāñdnī
phir  vahī  'sāqī'  añdherī  raat  hai