dil-soḳhta  ko  apne  jalāyā  ġhazab  kiyā
nairañg  tum  ne  kyā  ye  dikhāyā  ġhazab  kiyā
zinda  kiyā  hai  hasrat-e-murda  ko  bevafā
tū  ba.ad-e-marg  gor  pe  aayā  ġhazab  kiyā
ye  dard-e-dard-mañd  tamāshā  dikhā.egā
āfat-rasīda  ko  jo  satāyā  ġhazab  kiyā
ham  ḳhānumāñ-ḳharāb  bhaTakte  kahāñ  phireñ
baiThe  biThā.e  us  ne  uThāyā  ġhazab  kiyā
sab  kah  rahe  the  bulbul-e-kashmīr  ke  harīf
us  gul  ne  apnā  yaar  banāyā  ġhazab  kiyā
majzūb-o-mast  pīr-e-muġhāñ  kyuuñ  na  vo  rahe
'sāqī'  ko  jām-e-jazb  pilāyā  ġhazab  kiyā