shahīd-e-armāñ  paḌe  haiñ  bismil  khaḌā  vo  talvār  kā  dhanī  hai
idhar  to  ye  qatl-e-ām  dekhā  udhar  vo  kaisī  kaTā-chhanī  hai
huā  hai  nairañg  aaj  kaisā  ye  dil  meñ  qātil  ke  kyā  Thanī  hai
jidhar  se  guzrā  zabāñ  se  niklā  ye  kushtanī  hai  vo  kushtanī  hai
bigaḌ  ke  ham  ko  bigāḌ  Daalā  sañvārnā  hī  tumheñ  na  aayā
bano  jo  munsif  batā.eñ  dilbar  ki  is  bigaḌne  se  kyā  banī  hai
kabhī  hañsātī  hai  yaad  terī  kabhī  rulātā  hai  hijr  terā
ye  qābil-e-dīd  hai  tamāshā  ye  sair-e-be-mehr  dīdanī  hai
sunā  hai  maqtal  meñ  aaj  koī  qatīl-e-hasrat  shahīd  hogā
huī  jo  shohrat  ye  shahar  meñ  hai  har  ik  taraf  ek  sansanī  hai
karam  hai  dariyā-diloñ  kī  zīnat  kahāñ  baḳhīloñ  kī  hai  ye  tīnat
use  tavañgar  nahīñ  kaheñge  jo  koī  mohtāj-e-dil  ġhanī  hai
shikast-e-paimāñ  kā  ham  ko  aadī  kiyā  hai  ik  mast-e-nosh-e-lab  ne
ba-maslahat  ham  hue  haiñ  taa.ib  ye  tauba  āḳhir  shikastnī  hai
dikhā  ke  ham  ko  jamāl-e-ra.anā  kiyā  hai  kyuuñ  rah-navard-e-vahshat
bane  the  ḳhud  rahnumā  hamāre  ye  rahbarī  meñ  bhī  rahzanī  hai
tarīq  un  kā  hī  sulh-e-kul  hai  jo  be-hama  bā-hama  nazar  haiñ
hameñ  ye  bartāv  ne  dikhāyā  ki  dostī  meñ  bhī  dushmanī  hai
vafā-shi.ārī  hai  jāñ-nisārī  hai  uzr-e-shikva  na  arz-e-matlab
hamīñ  haiñ  ik  be-nazīr  tālib  harīf  jo  hai  vo  yak-fanī  hai
vo  aayā  turbat  pe  bevafā  gul  har  ik  se  afsurda  ho  ke  pūchhā
ye  kis  kī  mash.had  pe  hai  charāġhāñ  jo  ibrat-añgez  raushnī  hai
fanā-e-qalbī  hai  fat.h-e-ainī  huā  hai  gar  mahv  sharh-e-sadrī
yahī  hai  miftāh-e-dil-kushā.ī  ye  kashf-e-bātin  kī  jāñkanī  hai
hue  jo  ye  mubtalā-e-ulfat  asiir  dām-e-visāl  ke  haiñ
havā-e-zulf-e-ḳhayāl-e-jānāñ  banī  huī  tauq-e-gardnī  hai
ye  kis  qalandar  ko  maar  Daalā  ġhazab  kiyā  jāma-posh-e-naḳhvat
khaḌā  huā  ro  rahā  hai  jazba  girī  huī  pāk-dāmanī  hai
kabhī  na  hoñge  murīd-e-jiddat  nahīñ  haiñ  mushtāq-e-husn-e-bid.at
hamārā  mashrab  hai  sūfiyāna  hamārā  maz.hab  sanātanī  hai
kiyā  hai  ibrat-misāl  kaisā  ḳhayāl-e-ibrat-nazar  ne  ham  ko
kareñ  ta.alluq  kisī  se  kyā  ham  jo  shakl  dekhī  guzishtanī  hai
sifāt  meñ  zaat  hai  numāyāñ  huī  vo  bāliġh-nazar  hai  nisbat
kiyā  hai  mahv-e-jamāl-e-jānāñ  ye  sair-qalbī  kī  raushnī  hai
na  hoñ  ġharābt-asar  ye  ai  dil  nuqūsh-e-nairañg-e-shān-e-fitrat
koī  huā  be-niyāz-e-ālam  koī  hai  muflis  koī  ġhanī  hai
hue  na  īsār  o  buzl  se  ai  karīm  ham  mustafīz  ab  tak
tumhārā  sheva  jo  hai  saḳhā  kā  pasand-e-aḳhlāq-e-mohsinī  hai
firāqe-e-gul  se  jo  nāla-kash  hai  qafas  meñ  bulbul  shahīd-e-jalva
bahār-e-gulshan  ḳhizāñ-numā  hai  junūñ-zada  abr-e-bahmanī  hai
milā  na  jām-e-sharāb  'sāqī'  koī  qadah  bañg  kā  atā  ho
hamāre  pīr-e-muġhāñ  ḳhizar  haiñ  subū  meñ  sabzī  bhī  to  chhanī  hai