kuchh  aise  hāl-o-māzī  tere  afsāne  bhī  hote  haiñ
jo  har  māhaul-e-mustaqbil  ko  dohrāne  bhī  hote  haiñ
jo  ehsās-e-javānī  kī  hasīñ  ḳhalvat  meñ  palte  haiñ
vo  jalve  manzar-e-jazbāt  par  laane  bhī  hote  haiñ
ḳhamoshī  dāstāñ  hai  ismat-e-unvān-e-hastī  kī
ḳhamoshī  meñ  nihāñ  ismat  ke  afsāne  bhī  hote  haiñ
harīm-e-dil  meñ  tujh  ko  kāvish-e-ġham  ham  bhī  pūchheñge
tasavvur  meñ  tire  aksar  sanam-ḳhāne  bhī  hote  haiñ
kabhī  tūfāñ  meñ  ruḳh  maujeñ  badal  detī  haiñ  jab  apnā
safīne  sāhiloñ  par  lā  ke  Takrāne  bhī  hote  haiñ
aqīdat  shart  hai  ai  'zeb'  jazbāt-e-aqīdat  kī
haram  kī  raah  meñ  ta.amīr  but-ḳhāne  bhī  hote  haiñ