Zeb Bareilwi

barq ke sae mein kaif-e-ashiyan samjha tha main

Zeb Bareilwi

barq ke saa.e meñ kaif-e-āshiyāñ samjhā thā maiñ
har ma.āl-e-rañg-o-bū ko gulsitāñ samjhā thā maiñ
har numūd-e-ishq meñ soz-e-nihāñ samjhā thā meñ
shāhkār-e-husn ko ātash-bajāñ samjhā thā maiñ
ranj-o-ġham se irtibāt-e-jism-o-jāñ samjhā thā maiñ
hasti-e-nākām ko ḳhvāb-e-girāñ samajhtā thā maiñ
ishq-e-fānī ko nishāt-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
zindagī ke raaz ko ab tak kahāñ samjhā thā maiñ
dil ke har parde se aatī thiiñ sadā.eñ dard kī
barbat-e-hastī pe tum ko naġhma-ḳhvāñ samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī dil hī merā āstāñ naaz hai
dil ko ab tak niyāz-e-āstāñ samjhā thā maiñ
is liye maiñ iltifāt-e-ḳhās se mahrūm huuñ
joshash-e-sa.ī-e-talab ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
ai junūn-e-justujū rāh-e-talab meñ baar baar
har ġhubār-e-kārvāñ ko kārvāñ samjhā thā maiñ
sun rahā thā kaifiyāt-e-zindagī ke vāqi.āt
un ke afsāne ko apnī dāstāñ samjhā thā maiñ
be-niyāz-e-bandagī-e-shauq thī merī ḳhudī
be-ḳhudī meñ ehtirām-e-āstāñ samjhā thā maiñ
is qadar Duubā huā thā e'tibār-e-shauq meñ
har fareb-e-āshiyāñ ko āshiyāñ samjhā thā maiñ
ġhuncha-o-gul hī pe kyā mauqūf thā rāz-e-jamāl
zarre zarre ko chaman ke rāz-dāñ samjhā thā maiñ
dil kī har tafsīr par ḳhāmoshiyāñ detī thiiñ daad
anjuman vāloñ ko mahv-e-dāstāñ samjhā thā maiñ
aap kī zāt-e-girāmī kā na irfāñ kar sakā
aap ko lekin sharīk-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
jab shikast-e-sāz-e-dil kī 'zeb' jhankāreñ sunīñ
dil kī har dhaḌkan pe tum ko naġhma-ḳhvāñ samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com