niyāz-o-nāz  ke  sāġhar  khanak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
tire  mai-kash  tire  dar  par  bhaTak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
sharāre  soz-e-paiham  ke  bhaḌak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
mohabbat  kī  hasīñ  rāheñ  chamak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
sharāb-e-shauq  ke  sāġhar  chhalak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
fazā.eñ  bāda-ḳhāne  kī  mahak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
tire  hañsne  se  kaliyoñ  ke  hasīñ  rañg-e-tabassum  meñ
ye  qatre  ḳhūn-e-armāñ  ke  chhiTak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
numāyāñ  haiñ  sar-e-mizhgāñ  jo  māyūsī  ke  aalam  meñ
vo  aañsū  tere  dāman  par  Tapak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
sar-e-bazm-e-mohabbat  kaash  un  āñkhoñ  ke  darpan  meñ
mohabbat  ke  hasīñ  manzar  chamak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
sar-e-mai-ḳhāna  saaqī  aaj  izn-e-ām  ho  jaa.e
tire  mai-nosh  pī  pī  kar  bahak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
mohabbat  meñ  mire  betāb  dil  kī  dhaḌkaneñ  hamdam
tirī  āġhosh  meñ  aa  kar  jo  thak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
mazāq-e-bāda-noshī  tishna-e-ehsās  hai  saaqī
na.e  andāz  se  sāġhar  khanak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
mohabbat  meñ  nahīñ  mumkin  pahuñchnā  hadd-e-manzil  tak
musāfir  terī  rāhoñ  meñ  bhaTak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
numāyāñ  hoñ  na  āñkhoñ  se  kahīñ  ismat  mohabbat  kī
ye  sho.ale  dil  ke  dil  hī  meñ  dahak  jaa.eñ  to  achchhā  hai
jo  haiñ  murjhā.ī  kaliyāñ  'zeb'  dāmān-e-gulistāñ  meñ
havā  ke  ruḳh  badalne  se  mahak  jaa.eñ  to  achchhā  hai