Zeb Bareilwi

mashrab-e-husn ke unwan badal jate hain

Zeb Bareilwi

mashrab-e-husn ke unvān badal jaate haiñ
maz.hab-e-ishq meñ īmān badal jaate haiñ
ruḳh-e-jāñ se tire paikān badal jaate haiñ
ḳhāna-e-qalb ke mehmān badal jaate haiñ
ishq meñ pyaar ke imkān badal jaate haiñ
husn ke faiz se rūmān badal jaate haiñ
inqalābāt-e-tamaddun se jahāñ meñ aksar
maiñ ne dekhā hai ki insān badal jaate haiñ
ik safīne ke tasādum se ye dekhā maiñ ne
roz umaDte hue tūfān badal jaate haiñ
itnī ai dost pilā hosh na aane paa.e
ālam-e-hosh meñ armān badal jaate haiñ
manzar-e-shām-o-sahar par na ho giryāñ shabnam
ġhuncha-o-gul ke nigahbān badal jaate haiñ
aise afsāne bhī guzre haiñ nigāhoñ se bahut
jin ke anjām se unvān badal jaate haiñ
manzar-e-ām pe aate hī payām-e-mazdūr
satvat-e-shāhī ke farmān badal jaate haiñ
zindagī jazba-e-rūmān-e-musalsal hī sahī
tere ehsās se rūmān badal jaate haiñ
ḳhatm gulshan pe nahīñ 'zeb' bahāroñ kī hadeñ
mausam-e-gul meñ bayābān badal jaate haiñ
Top Urdushayar.com